Monday, July 26, 2010

Kya Kya dekha hamne



dekha hamne yahan bahut kuch, bahut kuch hamne yahan dekha;

bas aarzoo thi jise dekhne ki, usey chorr sab kuch hamne yahan dekha.



PAA powers ke dum par aish karte ameer-jaade bhi dekhe;

Ghar walon ke sapno ko cash karte pakke iraade bhi dekhe.




ek-ek number ke liye rote bhookhe-nange bhi dekhe;

iss moh-maya se parey bindaas bande bhi dekhe.




dosti ko zindagi, yaar ko khuda samajhne waale dildaar bhi dekhe;

kaam poora hone ke baad, kabhi nazar na aane waale chamatkar bhi dekhe.




saal bhar bhai-behen ban kar ghoomne ke baad, committed hote beimaan bhi dekhe;

nesci pe har hafte naye chehron ke saath dil behlaate kadardaan bhi dekhe.




teen baje raat tak phone pe chipke rehne waale namoone bhi dekhe;

doosron ke maamle me hamesha taang adaane waale kameene bhi dekhe.




basketball ground par hote cricket matches bhi dekhe;

khoobsurat deviyon ko lete hue catches bhi dekhe.




library ko garden samajhne wale hanso ke jode bhi dekhe;

birthdays ki bhayanak raat ko padne wale kode bhi dekhe.




cigarette wine ganja beer me rehte doobe bhi dekhe;

exam ke din CS server ki farmaish karte ajoobe bhi dekhe.




grades ko samajh apne ghar ki izzat,dene se sharmaate teacher bhi dekhe;

aata jaata kuch nahi, bas kote se yahan aa kar class me book chapwate fateechar bhi dekhe.




gf/bf milne ke baad doston ko bhool jaane waale bhi dekhe;

chhoti-chhoti baaton par suicide kar jhool jaane waale bhi dekhe.




48 chhote aur 24 bade waale test bhi dekhe;

zaroorat se jyaada "kaam" karaane wale fest bhi dekhe.




CC se shuru ho kar dooor tak jaane waale orkut kaand bhi dekhe;

apne room se keval class, toilet aur mess ke liye nikalne waale eid ke chaand bhi dekhe.




college ko samajh apni sasural, 5 saal se yahin tikey meherbaan bhi dekhe;

9.5 se 0.1 bhi kum aane par, rone waale shamshaan bhi dekhe.




har sem ki barbaadi ke baad, agle sem me achcha karne ke waade bhi dekhe;

aur fir agle sem me, poore hote nahi unke aadhe bhi dekhe.




kuch stories ko love me badalte bhi dekha;

kuch ke love ko stories me hi dum todte bhi dekha.




jinhe ab bistar ke bagal gangajal rakh kar sona chahiye, unhe yahan padhaate huye bhi dekha;

mahaan professors ka PG students ko samajh apna naukar, daudaate huye bhi dekha.




ek hi room me bhoosey ki tarah bhare log chaar bhi dekhe;

ek certi ke liye seniors ke saath tan-dhan-ram se hotey vyapaar bhi dekhe.




museum se churaaye instruments ke saath, lab me hotey apna dimaag kharaab bhi dekha;

har hafte 4 mass bunk (" off hai !! ") karwa ke, hamara bhi hai koi jawaab nahi dekha.




Qaidiyon se bhi badttar milta khana kha kar, hote kurbaan bhi dekha;

fir hamein zinda rakhne wala, DC roopi vardaan bhi dekha.




iss college me aa kar, iss shehar ko " HELLABAAD" keh kar koste huye logon ko bhi dekha;

afsos ye ki fir baahar dhaabe par, 2 Rs ki chai pee k bina paise diye khisakte bhi unhi logon ko hi dekha.




savere 4 baje tak movie, aur agle din 4 lectures me so kar bhi dekha;

nahaane ke liye aadhe ghante line me khade ho kar bhi dekha.




bina soche samjhe masoom ko sataane waalo ko, apni taakat ke nashe me magroor bhi dekha;

bas ek hi raat utarey sadak par hum, aur fir ghamand ko hotey chakna-choor bhi dekha.




kaabil-e-taarif ye hai ki, hamne-aapne abhi keval aadha hi dekha.

chaal baaki hai wazeer ki, abhi toh bas pyada hi dekha. ;-)